Sher
"bolte rahte hain nuqush us ke phir bhi vo shakhs kam-sukhan hai bahut"
"dilon ke biich ki divar gir bhi sakti thi kisi ne kaam liya hi nahin tadabbur se"
دلوں کے بیچ کی دیوار گر بھی سکتی تھی کسی نے کام لیا ہی نہیں تدبر سے
दिलों के बीच की दीवार गिर भी सकती थी किसी ने काम लिया ही नहीं तदब्बुर से

"bolte rahte hain nuqush us ke phir bhi vo shakhs kam-sukhan hai bahut"
"bhuul jaane ka mujhe mashvara dene vaale yaad khud ko bhi na main aa.uun kuchh aisa kar de"
"vo andhi raah men bina.iyan bichhata raha badan pe zakhm liye aur labon pe diin liye"
"ham tiri talkh guftugu sun kar chup hain lekin sabab samajhte hain"
"milna paDta hai hamen khud se bhi ghairon ki tarah us ne mahaul hi kuchh aisa bana rakkha hai"
"kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhuul ga.e kuchh intiqam bhi andhi ne badtarin liye"