Sher
"nadan kah rahe hain jise aftab-e-hashr zarra hai us ke ru-e-darakhshan ke samne"
R
Rajab Ali Beg Suroor"ab hai dua ye apni har shaam har sahar ko ya vo badan se lipTe ya jaan tan se nikle"
اب ہے دعا یہ اپنی ہر شام ہر سحر کو یا وہ بدن سے لپٹے یا جان تن سے نکلے
अब है दुआ ये अपनी हर शाम हर सहर को या वो बदन से लिपटे या जान तन से निकले
"nadan kah rahe hain jise aftab-e-hashr zarra hai us ke ru-e-darakhshan ke samne"
"lazim hai soz-e-ishq ka sho.ala ayaan na ho jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho"
"kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-khu jo bhala ho aap se us se bura.i kijiye"
"na pahuncha gosh tak ik tere haihat hazaron naala nikla is dahan se"
"dam-e-takfin bhi gar yaar aave to niklen haath bahar ye kafan se"