Sher
"kashmir ki vaadi men be-parda jo nikle ho kya aag lagaoge barfili chaTanon men"
"kis tarah bhula.en ham is shahr ke hangame har dard abhi baaqi hai har zakhm abhi taaza hai"
کس طرح بھلائیں ہم اس شہر کے ہنگامے ہر درد ابھی باقی ہے ہر زخم ابھی تازہ ہے
किस तरह भुलाएँ हम इस शहर के हंगामे हर दर्द अभी बाक़ी है हर ज़ख़्म अभी ताज़ा है

"kashmir ki vaadi men be-parda jo nikle ho kya aag lagaoge barfili chaTanon men"
"tum se milti-julti main avaz kahan se la.unga taj-mahal ban jaa.e agar mumtaz kahan se la.unga"
"tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda huun chhuT gaya hai saath tumhara aur abhi tak zinda huun"
"itna naraz ho kyuun us ne jo patthar phenka us ke hathon se kabhi phuul bhi aaya hoga"
"shaam Dhale ye soch ke baiThe ham apni tasvir ke paas saari ghazlen baiThi hongi apne apne miir ke paas"
"shohrat ki fazaon men itna na uDo 'saghar' parvaz na kho jaa.e in unchi uDanon men"