Sher
"main aadmi huun koi farishta nahin huzur main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya"
"aaj phir bujh ga.e jal jal ke umidon ke charagh aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya"
آج پھر بجھ گئے جل جل کے امیدوں کے چراغ آج پھر تاروں بھری رات نے دم توڑ دیا
आज फिर बुझ गए जल जल के उमीदों के चराग़ आज फिर तारों भरी रात ने दम तोड़ दिया

"main aadmi huun koi farishta nahin huzur main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya"
"tum ga.e raunaq-e-bahar ga.i tum na jaao bahar ke din hain"
"ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul ga.e"
"jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mahfil men ik hosh ki saa.at kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul ga.e"
"khaak uDti hai teri galiyon men zindagi ka vaqar dekha hai"
"ab na a.enge ruThne vaale dida-e-ashk-bar chup ho ja"