Sher
"mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbad husn ne kiya be-khud ishq ne kiya azad"
"pabandi-e-ahkam-e-shari.at hai vahan farz rindon ko rukh-e-saqi-o-saghar hue makhsus"
پابندئ احکام شریعت ہے وہاں فرض رندوں کو رخ ساقی و ساغر ہوئے مخصوص
पाबंदी-ए-अहकाम-ए-शरीअत है वहाँ फ़र्ज़ रिंदों को रुख़-ए-साक़ी-ओ-साग़र हुए मख़्सूस

"mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbad husn ne kiya be-khud ishq ne kiya azad"
"yuun to har diin men hai sahab-e-iman hona ham ko ik but ne sikhaya hai musalman hona"
"va hote hain masti men kharabat ke asrar rindi mira iman hai masti hai mira farz"
"sher kya hai aah hai ya vaah hai jis se har dil ki ubhar aati hai choT"
"naqsh-e-qadam hain raah men farhad-o-qais ke ai ishq khinch kar mujhe laaya idhar kahan"
"tha anal-haq lab-e-mansur pe kya aap se aap tha jo parde men chhupa bol uTha aap se aap"