Sher
"haal mat puchh mohabbat ka hava hai kuchh aur la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai"
"dil husn ko daan de raha huun gahak ko dukan de raha huun"
دل حسن کو دان دے رہا ہوں گاہک کو دکان دے رہا ہوں
दिल हुस्न को दान दे रहा हूँ गाहक को दुकान दे रहा हूँ

"haal mat puchh mohabbat ka hava hai kuchh aur la ke kis ne ye sar-e-rah diya rakkha hai"
"dar-ba-dar Thokaren kha.in to ye malum hua ghar kise kahte hain kya chiiz hai be-ghar hona"
"ghaas men jazb hue honge zamin ke aansu paanv rakhta huun to halki si nami lagti hai"
"na jaane sher men kis dard ka havala tha ki jo bhi lafz tha vo dil dukhane vaala tha"
"sach to kah duun magar is daur ke insanon ko baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai"
"main tujh ko kitna chahta huun ye kahna ghair-zaruri hai"