Sher
"kaise ho kya hai haal mat puchho mujh se mushkil saval mat puchho"
"jhuTi ummid ki ungli ko pakaDna chhoDo dard se baat karo dard se laDna chhoDo"
جھوٹی امید کی انگلی کو پکڑنا چھوڑو درد سے بات کرو درد سے لڑنا چھوڑو
झूटी उम्मीद की उँगली को पकड़ना छोड़ो दर्द से बात करो दर्द से लड़ना छोड़ो

"kaise ho kya hai haal mat puchho mujh se mushkil saval mat puchho"
"guftugu tiir si lagi dil men ab hai shayad ilaaj sannaTa"
"chand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat ka khel jaise ho vaise raho banna bigaDna chhoDo"
"jab ye maana ki dil men Dar hai bahut tab kahin ja ke dil se Dar nikla"
"jo baat chhupa.i hai sab se vo un se chhupani mushkil hai bahar ki kahani asan hai andar ki kahani mushkil hai"
"ik vahi shakhs mujh ko yaad raha jis ko samjha tha bhuul ja.unga"