Sher
"main tumhare shahr ki tahzib se vaqif na tha pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi"
"ghazal men jab talak ehsas ki shiddat na ho shamil faqat alfaz ki karigari mahsus hoti hai"
غزل میں جب تلک احساس کی شدت نہ ہو شامل فقط الفاظ کی کاریگری محسوس ہوتی ہے
ग़ज़ल में जब तलक एहसास की शिद्दत न हो शामिल फ़क़त अल्फ़ाज़ की कारीगरी महसूस होती है

"main tumhare shahr ki tahzib se vaqif na tha pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi"
"tu kahan rahti hai puchha tha kisi ne ek din main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi"
"jab bhi kashti bhanvar men aa.i hai ik du'a bhi asar men aa.i hai"
"koi bhi shakhs duniya men tumhen chhoTa nazar na aa.e tum apne sochne ka da.era itna baDa kar lo"
"dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zaban ki shakl khushbu bikherta hai ibarat ka harf harf"
"hamen qubul nahin chhoTa munh baDi baten misal bante hain aur phir misal dete hain"