Sher
"chashm-e-bad-dur ajab khush-qad-o-qamat hoga abhi fitna hai koi din men qayamat hoga"
S
Santokh Rai Betab"na rahe bagh-e-jahan men kabhi aram se ham phans ga.e qaid-e-qafas men jo chhuTe daam se ham"
نہ رہے باغ جہاں میں کبھی آرام سے ہم پھنس گئے قید قفس میں جو چھٹے دام سے ہم
न रहे बाग़-ए-जहाँ में कभी आराम से हम फँस गए क़ैद-ए-क़फ़स में जो छुटे दाम से हम
"chashm-e-bad-dur ajab khush-qad-o-qamat hoga abhi fitna hai koi din men qayamat hoga"
"khuda kisi ko giraftar zulf ka na kare nasib men kisi kafir ke ye bala na kare"
"apne maz.hab men hai ik shart tariq-e-ikhlas kuchh gharaz kufr se rakhte hain na islam se ham"
"aah di siine men atish kaun si be-dard ne dil se le kar munh talak umDa hua ik dard hai"
"mohabbat ki bhi kya hotin nahin ai ham-nashin rahen ki khuban yuun hamen dukh den, ham un ko is tarah chahen"
"go ki tujh lutf ke qabil dil-e-ranjur nahin par tiri banda-navazi se ye kuchh duur nahin"