Sher
"koi shikva nahin ham ko kisi se khud apni zaat ham ko chhal rahi hai"
"ho lene do barish ham bhi ro lenge dil men hain kuchh zakhm purane dho lenge"
ہو لینے دو بارش ہم بھی رو لیں گے دل میں ہیں کچھ زخم پرانے دھو لیں گے
हो लेने दो बारिश हम भी रो लेंगे दिल में हैं कुछ ज़ख़्म पुराने धो लेंगे

"koi shikva nahin ham ko kisi se khud apni zaat ham ko chhal rahi hai"
"ye kaise marhale men phans gaya hai mera ghar malik agar chhat ko bacha bhi luun to phir divar jaati hai"
"main khud ko dekhun agar dusre ki ankhon se milengi khamiyan apne hi shah-karon men"
"khat ho koi kitab ho ya dil ka zakhm ho jo bhi hai mere paas nishani usi ki hai"
"khata us ki muafi se baDi hai main kya karta saza deni paDi hai"
"ye baat sach hai ki vo zindagi nahin meri magar vo mere liye zindagi se kam bhi nahin"