Sher
"main us ki chashm ka bimar-e-na-tavan huun tabib jo mere haq men munasib ho vo dava Thahra"
"ai khal-e-rukh-e-yar tujhe Thiik banata ja chhoD diya hafiz-e-qur.an samajh kar"
اے خال رخ یار تجھے ٹھیک بناتا جا چھوڑ دیا حافظ قرآن سمجھ کر
ऐ ख़ाल-ए-रुख़-ए-यार तुझे ठीक बनाता जा छोड़ दिया हाफ़िज़-ए-क़ुरआन समझ कर

"main us ki chashm ka bimar-e-na-tavan huun tabib jo mere haq men munasib ho vo dava Thahra"
"bana kar man ko manka aur rag-e-tan ke ta.iin rishta uTha kar sang se phir ham ne chaknachur ki tasbih"
"shauq-e-kushtan hai use zauq-e-shahadat hai mujhe yaan se main ja.unga vaan se vo sitamgar aa.ega"
"isi mazmun se ma.alum us ki sard-mehri hai mujhe naama jo us ne kaghaz-e-kashmir par likkha"
"vaqt-e-namaz hai un ka qamat-e-gah-e-khadang-o-gah-e-kaman ban jaate hain ahl-e-ibadat gah-e-khadang-o-gah-e-kaman"
"ishq hi donon taraf jalva-e-dildar hua varna is hiir ka ranjhe ko rijhana kya tha"