Sher
"koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho tabi.at khud bahal jaati hai bahla.i nahin jaati"
"sitam-navazi-e-paiham hai ishq ki fitrat fuzul husn pe tohmat laga.i jaati hai"
ستم نوازئ پیہم ہے عشق کی فطرت فضول حسن پہ تہمت لگائی جاتی ہے
सितम-नवाज़ी-ए-पैहम है इश्क़ की फ़ितरत फ़ुज़ूल हुस्न पे तोहमत लगाई जाती है

"koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho tabi.at khud bahal jaati hai bahla.i nahin jaati"
"zindagi aa tujhe qatil ke havale kar duun mujh se ab khun-e-tamanna nahin dekha jaata"
"duniya ki rivayat se begana nahin huun chheDo na mujhe main koi divana nahin huun"
"khul gaya un ki aarzu men ye raaz ziist apni nahin para.i hai"
"khush huun ki mira husn-e-talab kaam to aaya khali hi sahi meri taraf jaam to aaya"
"kitni dil-kash hain tiri tasvir ki ra.ana.iyan lekin ai parda-nashin tasvir phir tasvir hai"