Sher
"aur agar ho na sake kuchh bhi ujalon ki sabil ik charagh apne lahu se hi jala den ham log"
"tum asman ki bulandi se jald lauT aana hamen zamin ke masa.il pe baat karni hai"
تم آسماں کی بلندی سے جلد لوٹ آنا ہمیں زمیں کے مسائل پہ بات کرنی ہے
तुम आसमाँ की बुलंदी से जल्द लौट आना हमें ज़मीं के मसाइल पे बात करनी है

"aur agar ho na sake kuchh bhi ujalon ki sabil ik charagh apne lahu se hi jala den ham log"
"jis ke saa.e men ta.assub ki tapish shamil ho vaqt kahta hai vo divar gira den ham log"
"chhup gaya eid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par"
"yuun bhi kaT sakte hain ye tishna-labi ke lamhat baiTh kar bazm men saaqi ko dua den ham log"