Sher
"un se milte the to sab kahte the kyuun milte ho ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain"
"zindagi ham se tire naaz uTha.e na ga.e saans lene ki faqat rasm ada karte the"
زندگی ہم سے ترے ناز اٹھائے نہ گئے سانس لینے کی فقط رسم ادا کرتے تھے
ज़िंदगी हम से तिरे नाज़ उठाए न गए साँस लेने की फ़क़त रस्म अदा करते थे

"un se milte the to sab kahte the kyuun milte ho ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain"
"ek raat aap ne ummid pe kya rakkha hai aaj tak ham ne charaghon ko jala rakkha hai"
"shab o roz jaise Thahar ga.e koi naaz hai na niyaz hai tire hijr men ye pata chala miri umr kitni daraz hai"
"mira zamir bahut hai mujhe saza ke liye tu dost hai to nasihat na kar khuda ke liye"
"kabhi ziyada kabhi kam raha hai ankhon men lahu ka silsila paiham raha hai ankhon men"
"kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki"