Sher
"shayad isi ka naam mohabbat hai 'shefta' ik aag si hai siine ke andar lagi hui"
"itni na baDha paki-e-daman ki hikayat daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh"
اتنی نہ بڑھا پاکیٔ داماں کی حکایت دامن کو ذرا دیکھ ذرا بند قبا دیکھ
इतनी न बढ़ा पाकी-ए-दामाँ की हिकायत दामन को ज़रा देख ज़रा बंद-ए-क़बा देख

"shayad isi ka naam mohabbat hai 'shefta' ik aag si hai siine ke andar lagi hui"
"ham talib-e-shohrat hain hamen nang se kya kaam badnam agar honge to kya naam na hoga"
"iz.har-e-ishq us se na karna tha 'shefta' ye kya kiya ki dost ko dushman bana diya"
"fasane yuun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh baDha bhi dete hain ham zeb-e-dastan ke liye"
"hazar daam se nikla huun ek jumbish men jise ghurur ho aa.e kare shikar mujhe"
"shab vasl ki bhi chain se kyunkar basar karen jab yuun nigahbani murgh-e-sahar karen"