Sher
"peD uncha hai magar zer-e-zamin kitna hai lab pe hai nam-e-khuda dil men yaqin kitna hai"
S
Suhail Ahmed Zaidi"har sub.h apne ghar men usi vaqt jagna azad log bhi to giraftar se rahe"
ہر صبح اپنے گھر میں اسی وقت جاگنا آزاد لوگ بھی تو گرفتار سے رہے
हर सुब्ह अपने घर में उसी वक़्त जागना आज़ाद लोग भी तो गिरफ़्तार से रहे
"peD uncha hai magar zer-e-zamin kitna hai lab pe hai nam-e-khuda dil men yaqin kitna hai"
"ham ne to muund liin ankhen hi tiri diid ke baad bul-havas jante hain koi hasin kitna hai"
"kabhi to lagta hai gumrah kar ga.i mujh ko sukhan-vari kabhi paighambari si lagti hai"
"ham haar to jaate hi ki dushman ke hamare sau pair the sau haath the ik sar hi nahin tha"
"dekho to har ik shakhs ke hathon men hain patthar puchho to kahin shahr banane ke liye hai"
"do paanv hain jo haar ke ruk jaate hain ik sar hai jo divar se Takrata hai"