Sher
"hamen to yaad nahin koi lamha-e-ishrat kabhi tumhin ne kisi din hansa diya hoga"
S
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi"dil ki har baat kah ga.e aansu gir ke ankhon se rah ga.e aansu"
دل کی ہر بات کہہ گئے آنسو گر کے آنکھوں سے رہ گئے آنسو
दिल की हर बात कह गए आँसू गिर के आँखों से रह गए आँसू
"hamen to yaad nahin koi lamha-e-ishrat kabhi tumhin ne kisi din hansa diya hoga"
"dekh kar kaali ghaTa ahl-e-qafas aur kya karte taDap kar rah ga.e"
"phirti hai to phir jaa.e badalti hai to badle duniya ki nazar hai miri qismat to nahin hai"
"tark-e-ulfat se mohabbat ka likha miT na saka vahi afsurdagi-e-sham-o-sahar aaj bhi hai"
"kamar bandho muqaddar ke sahare baiThne vaalo shikast-e-razm se rahon ka pech-o-kham na badlega"