Sher
"maqtal-e-jan se ki zindan se ki ghar se nikle ham to khushbu ki tarah nikle jidhar se nikle"
"tiri talash men jaane kahan bhaTak ja.un safar men dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai"
تری تلاش میں جانے کہاں بھٹک جاؤں سفر میں دشت بھی آتا ہے گھر بھی آتا ہے
तिरी तलाश में जाने कहाँ भटक जाऊँ सफ़र में दश्त भी आता है घर भी आता है

"maqtal-e-jan se ki zindan se ki ghar se nikle ham to khushbu ki tarah nikle jidhar se nikle"
"ye sard raat ye avargi ye niind ka bojh ham apne shahr men hote to ghar ga.e hote"
"chaman men rakhte hain kanTe bhi ik maqam ai dost faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin"
"asmanon se farishte jo utare jaa.en vo bhi is daur men sach bolen to maare jaa.en"
"ai dopahar ki dhuup bata kya javab duun divar puchhti hai ki saaya kidhar gaya"
"ye khud-e-farebi-e-ehsas-e-arzu to nahin tiri talash kahin apni justuju to nahin"