Sher
"hujum-e-gham se mili hai hayat-e-nau mujh ko hujum-e-dard se paaya hai hausla main ne"
"azad to barson se hain arbab-e-gulistan aa.i na magar taqat-e-parvaz abhi tak"
آزاد تو برسوں سے ہیں ارباب گلستاں آئی نہ مگر طاقت پرواز ابھی تک
आज़ाद तो बरसों से हैं अरबाब-ए-गुलिस्ताँ आई न मगर ताक़त-ए-परवाज़ अभी तक

"hujum-e-gham se mili hai hayat-e-nau mujh ko hujum-e-dard se paaya hai hausla main ne"
"ek muddat se isi uljhan men huun un ko ya khud ko kise sajda karun"
"gul ghunche aftab shafaq chand kahkashan aisi koi bhi chiiz nahin jis men tu na ho"
"hai sham-e-avadh gesu-e-dildar ka partav aur sub.h-e-banaras hai rukh-e-yar ka partav"
"dilon men zakhm honTon par tabassum usi ka naam to zinda-dili hai"
"kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vahid' unhin ke naam hain duniya men jin ke kaam achchhe hain"