Sher
"vo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam vo raah meri nahin jo ga.i ho manzil ko"
"siine men mire dagh-e-gham-e-ishq-e-nabi hai ik gauhar-e-nayab mire haath laga hai"
سینے میں مرے داغ غم عشق نبی ہے اک گوہر نایاب مرے ہاتھ لگا ہے
सीने में मिरे दाग़-ए-ग़म-ए-इश्क़-ए-नबी है इक गौहर-ए-नायाब मिरे हाथ लगा है

"vo kaam mera nahin jis ka nek ho anjam vo raah meri nahin jo ga.i ho manzil ko"
"na vo puchhte hain na kahta huun main rahi jaati hai dil ki dil men havas"
"rukh-e-raushan se yuun uTThi naqab ahista ahista ki jaise ho tulu-e-aftab ahista ahista"
"tera marna ishq ka aghaz tha maut par hoga mire anjam-e-ishq"
"qadrdani ki kaifiyat malum aib kya hai agar hunar na hua"
"zamin roi hamare haal par aur asman roya hamari bekasi ko dekh kar saara jahan roya"