Sher
"a.ine hi a.ine the har taraf phir bhi apne aap men tanha tha main"
"ham log to marte rahe qiston men hamesha phir bhi hamen jiine ka hunar kyuun nahin aaya"
ہم لوگ تو مرتے رہے قسطوں میں ہمیشہ پھر بھی ہمیں جینے کا ہنر کیوں نہیں آیا
हम लोग तो मरते रहे क़िस्तों में हमेशा फिर भी हमें जीने का हुनर क्यूँ नहीं आया

"a.ine hi a.ine the har taraf phir bhi apne aap men tanha tha main"
"tahzib hi baaqi hai na ab sharm-o-haya kuchh kis darja ab insan ye bebak hua hai"
"rabta kyuun rakhun main dariya se pyaas bujhti hai meri sahra se"
"mom ke log kaDi dhuup men aa baiThe hain aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen"
"ret ka ham libas pahne hain aur hava ke safar pe nikle hain"
"hadson se khelne ke bavajud aaj bhi vaisa huun kal jaisa tha main"