Sher
"karvan se jo bhi bichhDa gard-e-sahra ho gaya TuuT kar patte kab apni shakh par vapas hue"
"miri ummid ka suraj ki teri aas ka chand diye tamam hi rukh par hava ke rakkhe the"
مری امید کا سورج کہ تیری آس کا چاند دیے تمام ہی رخ پر ہوا کے رکھے تھے
मिरी उम्मीद का सूरज कि तेरी आस का चाँद दिए तमाम ही रुख़ पर हवा के रक्खे थे

"karvan se jo bhi bichhDa gard-e-sahra ho gaya TuuT kar patte kab apni shakh par vapas hue"
"baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue mire harif tumhari dua se kam na hue"
"khush-guman har aasra be-asra sabit hua zindagi tujh se ta'alluq khokhla sabit hua"
"yunhi kisi ki koi bandagi nahin karta buton ke chehron pe tevar khuda ke rakkhe the"
"kya khabar kis moD par bikhre mata-e-ehtiyat pattharon ke shahr men huun a.ina oDhe hue"
"tamam phuul mahakne lage hain khil khil kar chaman men shokhi-e-bad-e-saba ko chhute hi"