Sher
"jo paDha hai use jiina hi nahin hai mumkin zindagi ko main kitabon se alag rakhta huun"
"khuda-e-amn jo kahta hai khud ko zamin par khud hi maqtal likh raha hai"
خدائے امن جو کہتا ہے خود کو زمیں پر خود ہی مقتل لکھ رہا ہے
ख़ुदा-ए-अम्न जो कहता है ख़ुद को ज़मीं पर ख़ुद ही मक़्तल लिख रहा है

"jo paDha hai use jiina hi nahin hai mumkin zindagi ko main kitabon se alag rakhta huun"
"jhuuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use koi luknat bhi kahin par nahin aane deta"
"dilon ke biich na divar hai na sarhad hai dikha.i dete hain sab fasle nazar ke mujhe"
"jab adhure chand ki parchha.in paani par paDi raushni ik na-mukammal si kahani par paDi"
"shikayaton ki ada bhi baDi nirali hai vo jab bhi milta hai jhuk kar salam karta hai"
"ye amal ret ko paani nahin banne deta pyaas ko apni sarabon se alag rakhta huun"