Sher
"baDe azaab men huun mujh ko jaan bhi hai aziiz sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jaata"
"dil hai ki tiri yaad se khali nahin rahta shayad hi kabhi main ne tujhe yaad kiya ho"
دل ہے کہ تری یاد سے خالی نہیں رہتا شاید ہی کبھی میں نے تجھے یاد کیا ہو
दिल है कि तिरी याद से ख़ाली नहीं रहता शायद ही कभी मैं ने तुझे याद किया हो

"baDe azaab men huun mujh ko jaan bhi hai aziiz sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jaata"
"zakhm laga kar us ka bhi kuchh haath khula main bhi dhoka kha kar kuchh chalak hua"
"dil ko sambhale hansta bolta rahta huun lekin sach puchho to 'zeb' tabi.at Thiik nahin hoti"
"main payambar tira nahin lekin mujh se bhi baat kar khuda mere"
"miri jagah koi a.ina rakh liya hota na jaane tere tamashe men mera kaam hai kya"
"jitna dekho use thakti nahin ankhen varna khatm ho jaata hai har husn kahani ki tarah"