Sher
rukhsat hua shabab to ab aap aa.e hain
ab aap hi bata.iye sarkar kya karen

Ameer Chand Bahar
vo be-khud-e-shabaab vo simin-badan kahaan
वो बे-खु़द-ए-शबाब वो सीमीं-बदन कहाँ
gham-e-hayaat ki aakhir koi davaa bhi hai
ग़म-ए-हयात की आख़िर कोई दवा भी है
ye kaif-e-husn us pe ye masti shabaab ki
ये कैफ़-ए-हुस्न उस पे ये मस्ती शबाब की
na hamdam hai na koi ham-zabaan hai
न हमदम है न कोई हम-ज़बाँ है
ishq mein zabt-e-fughaan darkaar hai
इश्क़ में ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ दरकार है
palTeinge rukh apnaa kab ye maah ye saal aakhir
पलटेंगे रुख़ अपना कब ये माह ये साल आख़िर