Sher
main mariz huun tire hijr ka zara haath men mira haath le
tu ghamon ka mere ilaaj kar miri baat sun tu abhi na ja

Arpit Sharma Arpit
mire vahm-o-gumaan pe raat din chhaai udaasi hai
मिरे वहम-ओ-गुमाँ पे रात दिन छाई उदासी है
aap baiThein bhi hain aise ke huaa kuchh bhi nahin
आप बैठें भी हैं ऐसे के हुआ कुछ भी नहीं
udaas raatein udaas mausam rulaa rahe the to tum kahaan the
उदास रातें उदास मौसम रुला रहे थे तो तुम कहाँ थे
ye havaaein aur ye baadal sab mire qaabu mein hai
ये हवाएँ और ये बादल सब मिरे क़ाबू में है
jo khuun roti hai aankhein saaraa manzar chikh uThtaa hai
जो ख़ूँ रोती है आँखें सारा मंज़र चीख़ उठता है
pahle khud apne saamne tum aaina karo
पहले ख़ुद अपने सामने तुम आइना करो