SHAWORDS

bayaabaan huun yaa samundar huun main — Anwar Shuoor

HomeAnwar ShuoorGhazal
"bayaabaan huun yaa samundar huun main vahi saamne huun jo andar huun main khudaaraa na khulvaao meri zabaan shikaayaat kaa ek daftar huun main mayassar hai kaunain saa ghar mujhe magar tum nahin ho to be-ghar huun main khuli hai miri aankh jis roz se kisi justuju mein baraabar huun main na jaane vo rangat hai yaa raushni use jab se dekhaa hai shashdar huun main kahaan sahl us tak pahunchnaa 'sha'ur' havaa mein nahin huun zamin par huun main"
Urdu

بیابان ہوں یا سمندر ہوں میں وہی سامنے ہوں جو اندر ہوں میں خدارا نہ کھلواؤ میری زبان شکایات کا ایک دفتر ہوں میں میسر ہے کونین سا گھر مجھے مگر تم نہیں ہو تو بے گھر ہوں میں کھلی ہے مری آنکھ جس روز سے کسی جستجو میں برابر ہوں میں نہ جانے وو رنگت ہے یا روشنی اسے جب سے دیکھا ہے ششدر ہوں میں کہاں سہل اس تک پہنچنا شعورؔ ہوا میں نہیں ہوں زمیں پر ہوں میں

Hindi

बयाबान हूँ या समुंदर हूँ मैं वही सामने हूँ जो अन्दर हूँ मैं ख़ुदारा न खुलवाओ मेरी ज़बान शिकायात का एक दफ़्तर हूँ मैं मयस्सर है कौनैन सा घर मुझे मगर तुम नहीं हो तो बे-घर हूँ मैं खुली है मिरी आँख जिस रोज़ से किसी जुस्तुजू में बराबर हूँ मैं न जाने वो रंगत है या रौशनी उसे जब से देखा है शश्दर हूँ मैं कहाँ सहल उस तक पहुँचना 'श'ऊर' हवा में नहीं हूँ ज़मीं पर हूँ मैं

bayābān huuñ yā samundar huuñ maiñ
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
Anwar Shuoor
poet214 quotes

More by Anwar Shuoor

View all →
Quote
"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor