"jabin pe un ki ye bindi kaa daagh kyaa kahiye hai aaftaab ki zinat charaagh kyaa kahiye har ik adaa tiri qaatil hai saare 'aalam ki kahaan lagaaiye apnaa suraagh kyaa kahiye muhaal jaan rahaa huun tiraa husul magar hai tere 'ishq se dil baagh baagh kyaa kahiye paDegi kis pe ki tujh par hi khud nahin paDti tiri nigaah kaa kaafir dimaagh kyaa kahiye tiri nigaah ke madhosh tere 'maikash' se hadis-e-jaam-o-lab-e-ju-e-baagh kyaa kahiye"
paate hain muddaaa ko gham-e-muddaaa se ham — Maikash Akbarabadi
"paate hain muddaaa ko gham-e-muddaaa se ham sarshaar hain tamanni-e-be-iltijaa se ham ab jis pe chaahein rakh dein vo ilzaam-e-mai-kashi hai mast ham se un ki adaa aur adaa se ham begaangi ne teri diyaa hosh-e-ghairati saabit hue hain kis sitam-e-naa-ravaa se ham baiThe rahe vo khun-e-tamannaa kiye hue dekhaa kiye unhein nigah-e-iltijaa se ham teraa shabaab hai gham-e-ulfat ki ibtidaa yaani hue shurua tiri intihaa se ham ab kis se jaa ke un ki shikaayat bayaan karein un se bhi pahle ruuTh chuke hain khudaa se ham aazaad hai alaaeq-e-rasm-o-rivaaj se 'maikash' ko jaante hain bahut ibtidaa se ham"
پاتے ہیں مدعا کو غم مدعا سے ہم سرشار ہیں تمنی بے التجا سے ہم اب جس پہ چاہیں رکھ دیں وہ الزام مے کشی ہے مست ہم سے ان کی ادا اور ادا سے ہم بے گانگی نے تیری دیا ہوش غیرتی ثابت ہوئے ہیں کس ستم ناروا سے ہم بیٹھے رہے وہ خون تمنا کئے ہوئے دیکھا کئے انہیں نگہ التجا سے ہم تیرا شباب ہے غم الفت کی ابتدا یعنی ہوئے شروع تری انتہا سے ہم اب کس سے جا کے ان کی شکایت بیاں کریں ان سے بھی پہلے روٹھ چکے ہیں خدا سے ہم آزاد ہے علائق رسم و رواج سے میکشؔ کو جانتے ہیں بہت ابتدا سے ہم
पाते हैं मुद्दआ' को ग़म-ए-मुद्दआ से हम सरशार हैं तमन्नी-ए-बे-इल्तिजा से हम अब जिस पे चाहें रख दें वो इल्ज़ाम-ए-मय-कशी है मस्त हम से उन की अदा और अदा से हम बेगानगी ने तेरी दिया होश-ए-ग़ैरती साबित हुए हैं किस सितम-ए-ना-रवा से हम बैठे रहे वो ख़ून-ए-तमन्ना किए हुए देखा किए उन्हें निगह-ए-इल्तिजा से हम तेरा शबाब है ग़म-ए-उल्फ़त की इब्तिदा या'नी हुए शुरूअ तिरी इंतिहा से हम अब किस से जा के उन की शिकायत बयाँ करें उन से भी पहले रूठ चुके हैं ख़ुदा से हम आज़ाद है अलाएक-ए-रस्म-ओ-रिवाज से 'मैकश' को जानते हैं बहुत इब्तिदा से हम

More by Maikash Akbarabadi
View all →"ab bhi duzdida nigaah-e-naaz hai kyaa mire rone mein bhi kuchh raaz hai ban gae afsaane meri aah ke khaamushi teri ki ab bhi raaz hai dekhne vaale ki aankhein dekhiye aap ko surat pe apni naaz hai ho chuki naakaamiyon ki intihaa aur ulfat kaa abhi aaghaaz hai 'maikash'-o-inkaar-e-baada haf-nazar laao saaghar ye bhi ik andaaz hai"
"kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain tumhein jab yaad karte hain khudaa kaa naam lete hain vo mast-e-naaz jab duzdida nazron se pilaataa hai khudi vaale bhi dast-e-be-khudi se jaam lete hain qayaamat dam-ba-khud hai ghamza-e-turkaana shashdar hai khudaa ke saamne vo aaj meraa naam lete hain rah-e-ulfat mein har har gaam par laghzish hai 'maikash' ko sunaa ye hai ki vo girte huon ko thaam lete hain"
"main ne is shoabda-gar dil ko kahaan chhoD diyaa aap ke madd-e-muqaabil ko kahaan chhoD diyaa justuju hai to magar yaad nahin kis ki hai zauq-e-rahgir ne manzil ko kahaan chhoD diyaa kah gaiin kyaa tiri nazrein ki hai viraan saa dil laa ke tufaan ne saahil ko kahaan chhoD diyaa vo nazar teri jo mujh par na thi aur mujh par thi tu ne us khalvat-e-mahfil ko kahaan chhoD diyaa jal gai shama jo baaqi na rahe parvaane dil-jalon ne tiri mahfil ko kahaan chhoD diyaa yaan na ummid kaa gulshan hai na viraana-e-yaas be-khudi tu ne mire dil ko kahaan chhoD diyaa"
"is adaa se koi aaya baam par ho gayaa dhokaa sahar kaa shaam par ham se kyaa dekhaa jo parda kar liyaa harf aaya aashiqon ke naam par ahd kar ke aap hi jab phir gae zor kyaa hai gardish-e-ayyaam par shaadi-e-be-maani be-illat nahin mar-miTaa huun phir kisi gulfaam par kis ko samjhaa huun tiri pahli nazar miT rahaa huun lazzat-e-aalaam par mar gayaa sun kar naved-e-vasl-e-yaar rahmat-e-haq 'maikash'-e-naakaam par"
"shauq ke daftar dilon mein rah gae garche aashiq daastaanein kah gae dil mein khud un ke bhi chubh kar rah gae vo nazar ke tiir jo ham sah gae mehrbaani aap ki yaadash-ba-khair vaqt ki maujon mein aalam bah gae thaa tiri nazron mein vo jaadu ki ham jo na kahnaa chaahte the kah gae thi junun-aamez apni guftugu baat matlab ki bhi lekin kah gae nazaa tak dil us ko dohraayaa kiyaa ik tabassum mein vo kyaa kuchh kah gae aaj vo mahfil mein 'maikash' ki tarah kuchh na bole aur sab kuchh kah gae"