Shayari
aap vaaqif hain mire dost hasin lafzon se
badle lahjon ki karaamaat kahaan jaante hain
zinda logon ko nivaalon saa chabaane vaale
meri mayyat pe bhi aaeinge khudaa khair kare
زندہ لوگوں کو نوالوں سا چبانے والے
میری میت پہ بھی آئیں گے خدا خیر کرے
ज़िंदा लोगों को निवालों सा चबाने वाले
मेरी मय्यत पे भी आएँगे ख़ुदा ख़ैर करे

aap vaaqif hain mire dost hasin lafzon se
badle lahjon ki karaamaat kahaan jaante hain
haath chehre pe lagaate hi vo ghabraa si gaiin
meri chikhon ke tabassum se milin jab baanhein
ham to ik til pe hi bas khud ko fanaa kar baiThe
aur kitne hain jamaalaat kahaan jaante hain
maang lete hain bharose pe ki vo de degaa
ham khataa-kaar munaajaat kahaan jaante hain
nikal gayaa jo kahaani se main tumhaari kahin
kisi ko kuchh na bataaoge marte jaaoge
likhvaa diye hain rab ko sabhi zaalimon ke naam
aaegi sab ki baari zaraa dekhte raho