Shayari
yahin kahin pe koi shahr bas rahaa thaa abhi
talaash kijiye is kaa agar nishaan koi hai
aae adam se ek jhalak dekhne tiri
rakkhaa hi kyaa thaa varna jahaan-e-kharaab mein
آئے عدم سے ایک جھلک دیکھنے تری
رکھا ہی کیا تھا ورنہ جہان خراب میں
आए अदम से एक झलक देखने तिरी
रक्खा ही क्या था वर्ना जहान-ए-ख़राब में

yahin kahin pe koi shahr bas rahaa thaa abhi
talaash kijiye is kaa agar nishaan koi hai
ik aag hamaari muntazir hai
ik aag se ham nikal rahe hain
pahle taraashaa kaanch se us ne miraa vajud
phir shahr bhar ke haath mein patthar thamaa diye
ab zamin bhi jagah nahin deti
ham kabhi aasmaan pe rahte the
guzar rahaa huun kisi jannat-e-jamaal se main
gunaah kartaa huaa nekiyaan kamaataa huaa
tujhe khabar nahin is baat ki abhi shaayad
ki teraa ho to gayaa huun magar main huun us kaa