Shayari
yuun to qadam qadam pe khudaa sainkaDon mile
banda na mil sakaa koi bandon ke shahr mein
jal-bujhi hogi koi aag kisi din us mein
be-sabab hi to nahin daagh 'qamar' mein aayaa
جل بجھی ہوگی کوئی آگ کسی دن اس میں
بے سبب ہی تو نہیں داغ قمرؔ میں آیا
जल-बुझी होगी कोई आग किसी दिन उस में
बे-सबब ही तो नहीं दाग़ 'क़मर' में आया

yuun to qadam qadam pe khudaa sainkaDon mile
banda na mil sakaa koi bandon ke shahr mein
us 'qamar' ko hai khud ab apne hi chehre ki talaash
jis ko duniyaa ne kahaa aaj kaa gyaani hai yahi
zabt-e-gham kaa mire andaaza bhalaa kyaa hotaa
main agar dasht na hotaa bhi to dariyaa hotaa
barg-e-aavaara ko ab apnaa pata yaad nahin
kyaa huaa tez havaaon ki paziraai mein
jab shahr mein dushman miraa koi bhi nahin thaa
phir kaun ye khanjar ki zabaan bol rahaa hai
mire hi hisse mein azmat salib-o-daar ki thi
mujhe hi ahd kaa apne rasul honaa thaa