Shayari
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
mere hone se na honaa hai miraa
aag jalne se dhuaan aabaad hai
میرے ہونے سے نہ ہونا ہے مرا
آگ جلنے سے دھواں آباد ہے
मेरे होने से न होना है मिरा
आग जलने से धुआँ आबाद है

vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
bojh se jhukne lagi shaakh to jaa kar ham ne
aashiyaane ko kisi aur shajar par rakkhaa
na ajnabi hai koi aur na aashnaa koi
akele-pan ki bhi hoti hai intihaa koi
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai