Shayari
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
J
Jaun EliaRain-soaked verses — the romance of monsoon and petrichor in poetry.
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
mar gae pyaas ke maare to uThaa abr-e-karam
bujh gai bazm to ab shama jalaataa kyaa hai
tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz
itne ghane baadal ke pichhe
kitnaa tanhaa hogaa chaand
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
us ko aanaa thaa ki vo mujh ko bulaataa thaa kahin
raat bhar baarish thi us kaa raat bhar paighaam thaa
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
roza-daaraan-e-judaai kuun kham-e-abru-e-yaar
maah-e-id-e-ramazaan thaa mujhe maalum na thaa
baarish ki bahut tez havaa mein kahin mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne ki tarah kaa
'ghaalib' chhuTi sharaab par ab bhi kabhi kabhi
piitaa huun roz-e-abr o shab-e-maahtaab mein
be-abr rind piite nahin vaaizo sharaab
karte hain ye gunaah bhi rahmat ke zor par
dil miraa zulf seti chhuT phansaa abru mein
kufr kuun tark kiyaa maail-e-mehraab huaa
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai
duur tak chhaae the baadal aur kahin saaya na thaa
is tarah barsaat kaa mausam kabhi aayaa na thaa
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati
yuun barasti hain tasavvur mein puraani yaadein
jaise barsaat ki rim-jhim mein samaan hotaa hai
taaza rakh aab-e-mehrbaani siin
ek dil sau chaman baraabar hai
ik dhuup si tani hui baadal ke aar-paar
ik pyaas hai ruki hui jharne ke baavajud