Shayari
havaa ke ghoDe pe jab vo savaar hote hain
to paa ke vaqt main kyaa kyaa maze uDaataa huun
main ne aahein bharin to ruk ke kahaa
ghar mein dhuni si kyaa lagaa di hai
میں نے آہیں بھریں تو رک کے کہا
گھر میں دھونی سی کیا لگا دی ہے
मैं ने आहें भरीं तो रुक के कहा
घर में धूनी सी क्या लगा दी है

havaa ke ghoDe pe jab vo savaar hote hain
to paa ke vaqt main kyaa kyaa maze uDaataa huun
teri aankhon ke tasavvur mein hai sair-e-kaunain
varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte
kaaba-o-dair ko apnaa to yahin se hai salaam
dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote
ghaflat mein javaani gai piiri mein huaa hosh
kyuun kar na khule aankh sahar hi to hai aakhir
saaqiyaa mai kahaan hai shishe mein
raushni aaftaab ki si hai
dard-e-sar mein hai kise sandal lagaane kaa dimaagh
us kaa ghisnaa aur lagaanaa dard-e-sar ye bhi to hai