Shayari
karnaa hai shaairi agar 'naushaad'
'mir' kaa kulliyaat yaad karo
aabaadiyon mein dasht kaa manzar bhi aaegaa
guzroge shahr se to miraa ghar bhi aaegaa
آبادیوں میں دشت کا منظر بھی آئے گا
گزرو گے شہر سے تو مرا گھر بھی آئے گا
आबादियों में दश्त का मंज़र भी आएगा
गुज़रोगे शहर से तो मिरा घर भी आएगा

karnaa hai shaairi agar 'naushaad'
'mir' kaa kulliyaat yaad karo
ik be-qaraar dil se mulaaqaat kijiye
jab mil gae hain aap to kuchh baat kijiye
saamne us ke ek bhi na chali
dil mein baatein hazaar le ke chale
zindagi mukhtasar mili thi hamein
hasratein be-shumaar le ke chale