Shayari
aur phir mohabbat mein ji ke mar ke dekhaa hai
log sochte hain jo ham ne kar ke dekhaa hai
main jal gai huun dhuup ki kirnon se jaa-ba-jaa
aur vo samajh rahe hain ki rangat nikhar gai
میں جل گئی ہوں دھوپ کی کرنوں سے جا بجا
اور وہ سمجھ رہے ہیں کہ رنگت نکھر گئی
मैं जल गई हूँ धूप की किरनों से जा-ब-जा
और वो समझ रहे हैं कि रंगत निखर गई

aur phir mohabbat mein ji ke mar ke dekhaa hai
log sochte hain jo ham ne kar ke dekhaa hai
mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko
havaa kaa rang nahin hai magar mizaaj to hai
havaa se dosti karnaa koi mazaaq nahin
qaid kar lo mujhe khayaalon mein
is jahaan se rihaai mil jaae
apni aankhein nahin jalaaungi
main ne bujhte charaagh dekhe hain
dil ki udaasiyon kaa koi sabab nahin hai
bas ye sabab hai mere dil ki udaasiyon kaa