Shayari
khud-farebi rahe to achchhaa hai
khud-shanaasi tabaah kar degi

Neel Ahmed
Neel Ahmed
khud-farebi rahe to achchhaa hai
khud-shanaasi tabaah kar degi
kisi ko yaad karne ke nahin makhsus kuchh lamhe
koi jab yaad aa jaae to phir vo yaad aataa hai
phulon ki zad mein aa ke kahin jaan se na jaae
main ne isi khayaal se titli uDaai hai
saare jazbe tiri chaahat ke dikhaai dete
kaash aankhon mein kahin dil bhi dhaDaktaa hotaa
yuun to mohabbaton mein baDi qurbatein rahin
lekin jo dil se puchho to khalvat kamaai hai
apni aankhon ko noch Daalaa hai
tum ko paane ke khvaab bunti hain
havaa kaa rang nahin hai magar mizaaj to hai
havaa se dosti karnaa koi mazaaq nahin
siine se dil nikaal ke haathon pe rakh diyaa
main ne to bas kahaa thaa ki dhaDkan kaa shor hai
mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko
qaid kar lo mujhe khayaalon mein
is jahaan se rihaai mil jaae
apni aankhein nahin jalaaungi
main ne bujhte charaagh dekhe hain
kitne aalam guzar gae mujh par
tum ko sochaa thaa ek lamhe ko