Shayari
apnaa sach us ko sunaane ke liye
ham ko qisson kaa havaala chaahiye
ham kitaabon mein jise paate hain 'haaris'
aadmi vaisaa koi miltaa kahaan hai
ہم کتابوں میں جسے پاتے ہیں حارثؔ
آدمی ویسا کوئی ملتا کہاں ہے
हम किताबों में जिसे पाते हैं 'हारिस'
आदमी वैसा कोई मिलता कहाँ है

apnaa sach us ko sunaane ke liye
ham ko qisson kaa havaala chaahiye
tah-ba-tah khulti hi rahti hai sadaa
'mir' ke divaan si hai zindagi
vaqt badlaa soch badli baat badli
ham se bachche kah rahe hain ham nae hain
nayaa chaar din mein puraanaa huaa
yahi sab huaa to nayaa kyaa huaa
khaali divaar buri lagti hai
meri tasvir hi rahne dete
sadaaein Dubti hain jab
khamoshi muskuraati hai