Sher
"halat ke taghayyur par ho matam-e-mazi kyuun ik vo bhi zamana tha ik ye bhi zamana hai"
"azal se sokhta-saman huun fikr-e-ashiyan kya ho na girti barq to ye soz-e-dil se jal gaya hota"
ازل سے سوختہ ساماں ہوں فکر آشیاں کیا ہو نہ گرتی برق تو یہ سوز دل سے جل گیا ہوتا
अज़ल से सोख़्ता-सामाँ हूँ फ़िक्र-ए-आशियाँ क्या हो न गिरती बर्क़ तो ये सोज़-ए-दिल से जल गया होता

"halat ke taghayyur par ho matam-e-mazi kyuun ik vo bhi zamana tha ik ye bhi zamana hai"
"hamari na-umidi ka to hai ilzam qismat par tumhara mudda.a hota to manzur-e-khuda hota hota"
"karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahar mera daman dekh kar mera gareban dekh kar"
"kisi se ishq karna aur is ko ba-khabar karna hai apne matlab-e-dushvar ko dushvar-tar karna"
"tavajjoh chara-gar ki ba.is-e-taklif hai 'bekhud' izafa hai musibat men davaon ka asar karna"
"in buton ne mujh ko be-khud kis qadar dhoke diye sidha-sada jaan kar mard-e-musalman dekh kar"