Sher
"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha tire bahane hamen intizar apna tha"
پس غبار بھی اڑتا غبار اپنا تھا ترے بہانے ہمیں انتظار اپنا تھا
पस-ए-ग़ुबार भी उड़ता ग़ुबार अपना था तिरे बहाने हमें इंतिज़ार अपना था

"agar yunhi mujhe rakkha gaya akele men baramad aur koi is makan se hoga"
"ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh baDe faisle ho jaate hain nadani men"
"tiri mohabbat men gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch ga.e hain"
"kyuun na ai shakhs tujhe haath laga kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho sakta hai"
"ghar pahunchta hai koi aur hamare jaisa ham tire shahr se jaate hue mar jaate hain"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"