Sher
"is intiha-e-qurb ne dhundla diya tujhe kuchh duur ho ki dekh sukun tera bankpan"
"dekho ye kisi aur ki ankhen hain ki meri dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho"
دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو
देखो ये किसी और की आँखें हैं कि मेरी देखूँ ये किसी और का चेहरा है कि तुम हो

"is intiha-e-qurb ne dhundla diya tujhe kuchh duur ho ki dekh sukun tera bankpan"
"main bhi palkon pe saja lunga lahu ki bunden tum bhi pa-basta-e-zanjir-e-hina ho jaana"
"jo ghair the vo isi baat par hamare hue ki ham se dost bahut be-khabar hamare hue"
"tere hote hue mahfil men jalate hain charagh log kya saada hain suraj ko dikhate hain charagh"
"ab tira zikr bhi shayad hi ghazal men aa.e aur se aur hue dard ke unvan janan"
"ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden ye akhiri sham.en bhi bujhane ke liye aa"