Sher
"qasr-e-dil kuchh is qadar TuuTa hua hai ahtamam un ke bas ik lams bhar se khaak men mil jaa.e ga"
"ai ashk na kar zulm zara der Thahar ja ik shakhs abhi meri nigahon men basa hai"
اے اشک نہ کر ظلم ذرا دیر ٹھہر جا اک شخص ابھی میری نگاہوں میں بسا ہے
ऐ अश्क न कर ज़ुल्म ज़रा देर ठहर जा इक शख़्स अभी मेरी निगाहों में बसा है

"qasr-e-dil kuchh is qadar TuuTa hua hai ahtamam un ke bas ik lams bhar se khaak men mil jaa.e ga"
"sar-e-mahfil vo phir se aa ga.e hain aaj be-parda na jaane kaun si shai phir miri taqsim honi hai"
"kaun sa dard utar aaya hai tahriron men saare alfaz janaze ki tarah lagte hain"
"mujh ko thi mahfilon ki bahut aarzu magar tanha.iyon ke khauf se tanha raha huun main"
"tez barish men kahin duur saDak par baiThe ham tire chhoD ke jaane ka sabab sochte hain"
"ab apna intizar rahega tamam-umr ik shakhs tha jo mujh se juda kar gaya mujhe"