Sher
"ham fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata khuun sharab kar lena jism jaam kar lena"
"koi purana khat kuchh bhuli-bisri yaad zakhmon par vo lamhe marham hote hain"
کوئی پرانا خط کچھ بھولی بسری یاد زخموں پر وہ لمحے مرہم ہوتے ہیں
कोई पुराना ख़त कुछ भूली-बिसरी याद ज़ख़्मों पर वो लम्हे मरहम होते हैं

"ham fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata khuun sharab kar lena jism jaam kar lena"
"tesha-ba-kaf ko a.ina-gar kah diya gaya jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya"
"udhar sach bolne ghar se koi divana niklega udhar maqtal men istiqbal ki tayyariyan hongi"
"baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar ham bhi ik roz kisi sham.a pe jal kar dekhen"
"yak-ba-yak jaan se guzarna to hai asan 'anjum' qatra qatra ka.i qiston men pighal kar dekhen"
"sar-e-rah mil ke bichhaD ga.e tha bas ek pal ka vo hadsa mire sehn-e-dil men muqim hai vahi ek lamha azaab ka"