Sher
"so meri pyaas ka donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab"
"insan ki niyyat ka bharosa nahin koi milte ho to is baat ko imkan men rakhna"
انسان کی نیت کا بھروسہ نہیں کوئی ملتے ہو تو اس بات کو امکان میں رکھنا
इंसान की निय्यत का भरोसा नहीं कोई मिलते हो तो इस बात को इम्कान में रखना

"so meri pyaas ka donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab"
"kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai kaha maan ki duaon men baDi tasir hoti hai"
"zamin ki god men itna sukun tha 'anjum' ki jo gaya vo safar ki thakan bhuul gaya"
"zaban-bandi ke mausam men gali-kuchon ki mat puchho parindon ke chahakne se shajar abad hote hain"
"zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi ki aapas men ulajh kar rah ga.e duniya o diin mere"
"kaisa firaq kaisi juda.i kahan ka hijr vo ja.ega agar to khayalon men aa.ega"