Sher
"kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charagh kis ki tasvir ye ankhon se laga.i ga.i hai"
"kya kahun kitna fuzun hai tere divane ka dukh ik taraf jaane ka gham hai ik taraf aane ka dukh"
کیا کہوں کتنا فزوں ہے تیرے دیوانے کا دکھ اک طرف جانے کا غم ہے اک طرف آنے کا دکھ
क्या कहूँ कितना फ़ुज़ूँ है तेरे दीवाने का दुख इक तरफ़ जाने का ग़म है इक तरफ़ आने का दुख

"kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charagh kis ki tasvir ye ankhon se laga.i ga.i hai"
"mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho ye rut jo hamen haath milane nahin deti"
"bas itna rabt kaafi hai mujhe ai bhulne vaale tiri soi hui ankhon men akasr jagta huun main"
"dekh ai meri zabun-hali pe hansne vaale vaqt ki dhuup ne kis darja nikhara mujh ko"
"jaane kis rut men khilenge yahan ta.abir ke phuul sochta rahta huun ab khvab ugata hua main"
"zindagi tu bhi hamen vaise hi ik roz guzar jis tarah ham tujhe barson se guzare hue hain"