Sher
"kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charagh kis ki tasvir ye ankhon se laga.i ga.i hai"
"zindagi ham se tiri ankh-micholi kab tak ik na ik roz kisi moD pe aa lenge tujhe"
زندگی ہم سے تری آنکھ مچولی کب تک اک نہ اک روز کسی موڑ پہ آ لیں گے تجھے
ज़िंदगी हम से तिरी आँख-मिचोली कब तक इक न इक रोज़ किसी मोड़ पे आ लेंगे तुझे

"kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charagh kis ki tasvir ye ankhon se laga.i ga.i hai"
"mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho ye rut jo hamen haath milane nahin deti"
"bas itna rabt kaafi hai mujhe ai bhulne vaale tiri soi hui ankhon men akasr jagta huun main"
"dekh ai meri zabun-hali pe hansne vaale vaqt ki dhuup ne kis darja nikhara mujh ko"
"jaane kis rut men khilenge yahan ta.abir ke phuul sochta rahta huun ab khvab ugata hua main"
"zindagi tu bhi hamen vaise hi ik roz guzar jis tarah ham tujhe barson se guzare hue hain"