Sher
"qafile valon ko kha ja.egi ye sust-ravi sarbanon ko subuk-khez karen chalte chalen"
"guzar na jaa.e ye mausam basant ka mausam banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye"
گزر نہ جائے یہ موسم بسنت کا موسم بنفشہ پھول کھلے ہر طرف زمیں کے لیے
गुज़र न जाए ये मौसम बसंत का मौसम बनफ़शा फूल खिले हर तरफ़ ज़मीं के लिए

"qafile valon ko kha ja.egi ye sust-ravi sarbanon ko subuk-khez karen chalte chalen"
"sirf ik teri nigahon ka chunida to na tha main sabhi ka tha mujhe tu ne kharida to na tha"
"zakhm siine pe hue itne ki siine se rahe ham tire hijr men jiite hain to jiine se rahe"
"subut aaj bhi meri kitab men hai 'asad' vo ek ruq.a tira tere dastakhat ke saath"
"rasta saaf nazar aata hai raahi to nahin kuchh kaho rah-e-mohabbat men tabahi to nahin"
"zulm to ye hai ki azbar na rahe ghurbat men ek hafiz se javani ki hifazat na hui"