Sher
"qafile valon ko kha ja.egi ye sust-ravi sarbanon ko subuk-khez karen chalte chalen"

Asad Awan
qafile valon ko kha ja.egi ye sust-ravi
क़ाफ़िले वालों को खा जाएगी ये सुस्त-रवी
guzar na jaa.e ye mausam basant ka mausam
गुज़र न जाए ये मौसम बसंत का मौसम
sirf ik teri nigahon ka chunida to na tha
सिर्फ़ इक तेरी निगाहों का चुनीदा तो न था
zakhm siine pe hue itne ki siine se rahe
ज़ख़्म सीने पे हुए इतने कि सीने से रहे
subut aaj bhi meri kitab men hai 'asad'
सुबूत आज भी मेरी किताब में है 'असद'
zulm to ye hai ki azbar na rahe ghurbat men
ज़ुल्म तो ये है कि अज़बर न रहे ग़ुर्बत में
"qafile valon ko kha ja.egi ye sust-ravi sarbanon ko subuk-khez karen chalte chalen"
"guzar na jaa.e ye mausam basant ka mausam banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye"
"sirf ik teri nigahon ka chunida to na tha main sabhi ka tha mujhe tu ne kharida to na tha"
"zakhm siine pe hue itne ki siine se rahe ham tire hijr men jiite hain to jiine se rahe"
"subut aaj bhi meri kitab men hai 'asad' vo ek ruq.a tira tere dastakhat ke saath"
"zulm to ye hai ki azbar na rahe ghurbat men ek hafiz se javani ki hifazat na hui"
khud-bakhud chhoD gae hain to chalo Thiik huaa
itne ahbaab kahaan ham se sanbhaale jaate
nit-nayaa tu ne zamaane mein kharidaa badlaa
tere kahne pe kahaan ham ne aqida badlaa
umr-bhar maan ki nasihat pe zamaane mein 'asad'
faatima-zehraa ke bachchon se vafaadaari ki
is mohabbat ne hamein joD diyaa aapas mein
varna ham donon kaa ik jaisaa aqida to na thaa
koi to dekhe miri bebasi mohabbat mein
main aap apni jahaan mein hansi uDaataa phirun
guzar na jaae ye mausam basant kaa mausam
banafsha phuul khile har taraf zamin ke liye