Sher
"har ik jagah tiri barq-e-nigah dauD ga.i gharaz ye hai ki kisi chiiz ko qarar na ho"
"zahid ne mira hasil-e-iman nahin dekha rukh par tiri zulfon ko pareshan nahin dekha"
زاہد نے مرا حاصل ایماں نہیں دیکھا رخ پر تری زلفوں کو پریشاں نہیں دیکھا
ज़ाहिद ने मिरा हासिल-ए-ईमाँ नहीं देखा रुख़ पर तिरी ज़ुल्फ़ों को परेशाँ नहीं देखा

"har ik jagah tiri barq-e-nigah dauD ga.i gharaz ye hai ki kisi chiiz ko qarar na ho"
"chala jaata huun hansta khelta mauj-e-havadis se agar asaniyan hon zindagi dushvar ho jaa.e"
"yuun muskura.e jaan si kaliyon men paD ga.i yuun lab-kusha hue ki gulistan bana diya"
"aks kis chiiz ka a.ina-e-hairat men nahin teri surat men hai kya jo meri surat men nahin"
"jiina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya pahchanne laga huun tumhari nazar ko main"
"dastan un ki adaon ki hai rangin lekin is men kuchh khun-e-tamanna bhi hai shamil apna"