Sher
"sab ko kanTon pe shak hua tha magar zakhm ke as-pas phuul mile"
"hota nahin udaas kisi dukh se main kabhi itne hasin log mire as-pas hain"
ہوتا نہیں اداس کسی دکھ سے میں کبھی اتنے حسین لوگ مرے آس پاس ہیں
होता नहीं उदास किसी दुख से मैं कभी इतने हसीन लोग मिरे आस-पास हैं

"sab ko kanTon pe shak hua tha magar zakhm ke as-pas phuul mile"
"aansu bata rahe hain ki mujh men hai zindagi ya'ni main intizar men patthar nahin hua"
"javab hans ke diya us ne aur rone laga saval puchh ke sharmindagi baDhi meri"
"hansi un ke labon tak aa ga.i hai mukammal ho gaya rona hamara"
"'mir' 'ghalib' yahin to rahte the ham bhi dilli se dil laga len kya"
"dard chehra pahan ke aaya tha tera chehra tha so qubul kiya"